logon ke sabhi falsafe jhuTla to gae hum

By imran-badayuniOctober 31, 2020
logon ke sabhi falsafe jhutla to gae hum
dil jaise bhi samjha chalo samjha to gae hum
mayus bhala kyun hain ye duniya ke manazir
ab aankhon mein binai liye aa to gae hum


kis baat pe ruthe dar-o-diwar-e-makan hain
kuchh der se aae hain magar aa to gae hum
khud rakh hue subh talak sach hai ye lekin
ai raat tere jism ko pighla to gae hum


roe hanse ujde base bichhde bhi mile bhi
dil sare tamashe tujhe dikhla to gae hum
kyun hashiye par aaj bhi rakhti hai kahani
kirdar nibhane ka hunar pa to gae hum


ab badh ke zara dhundh len manzil ke nishan bhi
uktae hue raste bahla to gae hum
sabun ki tarah khud ko galana pada be-shak
par lafz-e-mohabbat tujhe chamka to gae hum


46459 viewsghazalEnglish