luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
lut gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin
dekhiye ab hamein milta bhi hai aaram kahin
kahin aisa na ho fitna koi barpa ho jae
ab kabhi bhul ke lije na mera nam kahin


hum sitam-khurda hain kuchh dur hi hat kar rahiye
dekhiye aap pe aa jae na ilzam kahin
jab pada gham to badalti hi nahin ye duniya
ja ke ab baith rahi gardish-e-ayyam kahin


mere ahbab ke ikhlas ka parda rah jae
mujh ko pahle hi dubo de dil-e-nakaam kahin
koh-o-sahra ki taraf chal to pade hain wahshi
phir unhen rok na len tere dar-o-baam kahin


mai-kada chhod ke hum rind bahut pachhtae
hum pe sajta hi nahin jama-e-ehram kahin
65479 viewsghazalEnglish