luTa raha hun main lal-o-gohar andhere mein

By afzal-allahabadiOctober 23, 2020
luta raha hun main lal-o-gohar andhere mein
talash karti hai kis ko nazar andhere mein
wo jis ki rah mein main ne diye jalae the
gaya wo shakhs mujhe chhod kar andhere mein


charagh kaun utha le gaya mere ghar se
sisak rahe hain mere baam-o-dar andhere mein
tha tirgi ke janaze pe ek hashr bapa
jo us ke aane se phaili khabar andhere mein


koi hatheli pe phirta hai aaftab liye
bhatak raha hai koi dar-ba-dar andhere mein
mein koh-e-nur hun nadan tujhe khabar bhi nahin
mujhe chhupane ki koshish na kar andhere mein


musafiron ko wo rahen dikhaega 'afzal'
charagh rakh do sar-e-rahguzar andhere mein
18277 viewsghazalEnglish