lutf-e-rangini-e-hayat nahin gham nahin jab to kaenat nahin jis ko nisbat hai aap ke dar se us ko ehsas-e-mushkilat nahin jo nawed-e-hayat thi ai dil un ki nazron mein ab wo baat nahin aur kya hain ye husn ke jalwe ishq ke gar tasarrufat nahin phir hai kya raaz-e-kaenat ai dost gham agar raaz-e-kaenat nahin wo na aaenge sham-e-gham 'sadiq' mere aise tasawwuraat nahin