maal-e-ahl-e-zamin bar-sar-e-zamin aata

By ajmal-sirajJanuary 18, 2024
maal-e-ahl-e-zamin bar-sar-e-zamin aata
jo be-yaqin hain un ko bhi phir yaqin aata
kahin to hum bhi thaharte jo ham-nashini ko
nikal ke khwab se wo yar-e-dil-nashin aata


wo jab talak nahin aata pukarte rahte
to dekh lete ki wo kab talak nahin aata
khayal aaya to ye bhi khayal aaya hai
yahi khayal agar roz-e-awwalin aata


chalo ab us ki khushi wo jahan bhi mil jae
maza to jab tha ki milne ko wo yahin aata
bas ek baat hamari samajh mein aati hai
samajh mein warna hamari bhi kuchh nahin aata


45597 viewsghazalEnglish