mabadon ki bhiD mein bujhte ye insani charagh
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
ma'badon ki bhid mein bujhte ye insani charagh
kash khud mein dhundh pate koi la-fani charagh
sab dishaon se umadti aandhiyon ka shor sun
kam nahin hogi abhi teri pareshani charagh
raushni aankhon ki le lega pari-zadon ka shahr
had to ye hai aur phailate hain 'uryani charagh
us ne aa kar lau badha di khwahishon ki ek shab
main ne pahli bar dekha aisa la-sani charagh
dekhiye ruhon ko in se raushni kitni mile
raat-din jalte hain jo masjid mein jismani charagh
be-qarari ka koi to hal nikalna chahiye
aa tujhe lipta lun mere dushman-e-jaani charagh
jalte jismon ki qataren dur tak jati huin
raushni ke nam par har samt haiwani charagh
bagh-o-sahra jis taraf jaun wahin maujud tum
ek khuda ki saltanat aur ek insani charagh

88343 viewsghazal • English