machal ke bahti nadi ke bahaw ki surat

machal ke bahti nadi ke bahaw ki surat
badal saki na hamare subhaw ki surat

bandhe hue hain bina dor ke sabhi rishte
nizam-e-shamsi mein jaise khinchao ki surat

is ek dil pe lagi hai ghamon ki aisi bhid
ki jaise tham gaya lashkar padaw ki surat

mitane ke liye tarikiyan zamana ki
bahut se log jale hain alaw ki surat

qubul karta nahin main to aur kya karta
thin iltija mein bhi un ki dabaw ki surat

ab is maqam pe le aai hai mujhe wahshat
jahan se phir nahin mumkin bachaw ki surat

charagh ilm ke raushan karo tum ab 'bismil'
jahaalaten sada risti hain ghaw ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close