madar-e-hind ki azmat ka pata chalta hai
By aalam-nizamiDecember 28, 2023
madar-e-hind ki 'azmat ka pata chalta hai
husn-e-kashmir se jannat ka pata chalta hai
qatra-e-ab ki qimat ka pata chalta hai
dhup mein pyas ki shiddat ka pata chalta hai
jab bhi kandhon pe uthata hun janaza koi
zindagi teri haqiqat ka pata chalta hai
panw ho jate hain jab rah-e-wafa mein zakhmi
tab kahin 'ishq ki 'azmat ka pata chalta hai
'ilm par apne bahut jab koi karta hai ghurur
us ke andar ki jahaalat ka pata chalta hai
us ki tahqiq jab aati hai khalaon mein nazar
'ilm insan ki taqat ka pata chalta hai
jab nahin milti hamein waqt-e-zarurat 'alam'
tab kisi chiz ki qimat ka pata chalta hai

52085 viewsghazal • English