maddham hui to aur nikharti chali gai

maddham hui to aur nikharti chali gai
zinda hai ek yaad jo marti chali gai

thi zindagi ki misl shab-e-hijr dosto
aur zindagi ki misl guzarti chali gai

hum se yahan to kuchh bhi sameta na ja saka
hum se har ek chiz bikharti chali gai

aae the chand zakhm guzar-gah-e-waqt par
guzri hawa-e-waqt to bharti chali gai

ek ashk qahqahon se guzarta chala gaya
ek chikh khamushi mein utarti chali gai

har rang ek rang se ham-rang ho gaya
taswir zindagi ki ubharti chali gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close