madrase ke azab ne mara

By yakta-amrohviOctober 6, 2022
madrase ke azab ne mara
teacheron ke itab ne mara
patli patli to yaad kar li thin
ek moti kitab ne mara


imtihan ka shabab are tauba
imtihan ke shabab ne mara
khwab dekha tha pas hone ka
us mujhe jhute khwab ne mara


jitne aasan sawal aae the
un ke mushkil jawab ne mara
jis ko daddy bhi padh ke pas na hon
itne mushkil nisab ne mara


tum ko geometryi ne mara hai
mujh ko zalim hisab ne mara
fail hone ka raaz fash kiya
hae chashm-e-pur-ab ne mara


main ne mara shahab ko ek roz
aur mujh ko shahab ne mara
56514 viewsghazalEnglish