mafqud kyon hain gham ke KHaridar shahr mein
By qutub-sarsharOctober 25, 2023
mafqud kyon hain gham ke kharidar shahr mein
mamnu' kyon hai dard ka izhaar shahr mein
hai lafz lafz aap ka gul-bar shahr mein
phaili hui hai nikhat-e-guftar shahr mein
barg-e-gulab par jo raqam thin kahaniyan
zahrab mausamon se huin khar shahr mein
sapne nukili raaton mein majruh ho gae
zakhmi hain sari nur ki aqdar shahr mein
ma'sum aarzuon ke sar par tha jis ka lams
wo dast-e-khush-ada hua talwar shahr mein
shadab jangalon ki jawani to kat gai
ugne lagi hai hasrat-e-ashjar shahr mein
fahm-o-khirad ki sath pe buqraat hain sabhi
khwabida hai zamir hi bedar shahr mein
ma'sum aanchalon se nichodi hui haya
marghub shai hai wahshi-e-khunkhar shahr mein
chingariyan nigah mein lahje mein aanch si
kya paikar-e-sifal hue nar shahr mein
aaludgi mein lazzat-e-nikhat fana hui
khushbu ka mol kuchh nahin sarshaar shahr mein

13155 viewsghazal • English