magar wo did ko aaya tha bagh mein gul ke ki bu kuchh aur main pai dimagh mein gul ke adu bhi ho sabab-e-zindagi jo haq chahe nasim-e-subh hai roghan charagh mein gul ke chaman khilen hain pahunch baada le ke ai saqi girafta-dil mujhe mat kar faragh mein gul ke nahin hai ja-e-tarannum ye bostan ki nahin siwae khun-e-jigar mai ayagh mein gul ke ali ka naqsh-e-qadam dhundhta hai yun 'sauda' phire hai baad-e-sahar jun suragh mein gul ke