mah-o-parwin tah-e-kamand rahe kin fazaon mein hum buland rahe gham-e-hasti se be-niyaz sahi ahl-e-dil phir bhi dard-mand rahe chashm-e-uqda-kusha se bhi na khule hum kuchh is tarah band band rahe bar-sar-e-dar hum sahi lekin harf-e-haq ki tarah buland rahe husn ki khud-numaiyan tauba muddaton hum bhi khud-pasand rahe mai-o-masti nahin hai us pe haram mai-kade mein jo hosh-mand rahe hum hain rahbar se do qadam aage hausle shauq se do-chand rahe dushmanon ka gila nahin 'tabish' dost bhi darpai-e-gazand rahe