mahak raha hai tasawwur mein khwab ki surat khila khila sa wo chehra gulab ki surat sawal us se ajab meri khamushi ne kiya hansi labon pe thi us ke jawab ki surat kitab-e-dil ka meri ek bab ho tum bhi tumhein bhi padhta hun main ek nisab ki surat pukara jab bhi mujhe tum ne dasht-e-imkan se koi umid si ubhri sarab ki surat ye us ke qurb ki padash mein 'sukhan' hum ko nasib hijr hua hai azab ki surat