mahaul ne dala hai asar aur tarah ka phal aur tarah ke hain shajar aur tarah ka larzida mile wadi-e-zulmat ke rahraw aaya mere hisse mein safar aur tarah ka dushman ki har ek chaal se bach aaya main lekin yaron ne dikhaya hai hunar aur tarah ka har bar badha karti hai be-tabi-e-dil aur har bar wo aata hai nazar aur tarah ka mushtaq to pahle bhi bahut the magar ab ke majma hai sar-e-rahguzar aur tarah ka