mahr ki tujh se tawaqqoa thi sitamgar nikla mom samjhe the tere dil ko so patthar nikla dagh hun rashk-e-mohabbat se ki itna betab kis ki taskin ke liye ghar se tu bahar nikla jite ji aah tere kuche se koi na phira jo sitam-dida raha ja ke so mar kar nikla dil ki aabaadi ki is had hai kharabi ki na puchh jaana jata hai ki us rah se lashkar nikla ashk-e-tar qatra-e-khun lakht-e-jigar para-e-dil ek se ek adad aankh se bah kar nikla kunj-kawi jo ki sine ki gham-e-hijran ne is dafine mein se aqsam-e-jawahar nikla hum ne jaana tha likhega tu koi harf ai 'mir' par tera nama to ek shauq ka daftar nikla