mahrum-e-khwab dida-e-hairan na tha kabhi tera ye rang ai shab-e-hijran na tha kabhi tha lutf-e-wasl aur kabhi afsun-e-intizar yun dard-e-hijr silsila-jumban na tha kabhi pursan na tha koi to ye ruswaiyan na thin zahir kisi pe haal-e-pareshan na tha kabhi har-chand gham bhi tha magar ehsas-e-gham na tha darman na tha to matam-e-darman na tha kabhi din bhi udas aur meri raat bhi udas aisa to waqt ai gham-e-dauran na tha kabhi daur-e-khizan mein yun mere dil ko qarar hai main jaise aashna-e-bahaaran na tha kabhi kya din the jab nazar mein khizan bhi bahaar thi yun apna ghar bahaar mein viran na tha kabhi be-kaif be-nashat na thi is qadar hayat jina agarche ishq mein aasan na tha kabhi