mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak

By hasrat-mohaniOctober 31, 2020
mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak
baqi hai tere ishq ki tasir abhi tak
wasl us but-e-bad-khu ka mayassar nahin hota
wabasta-e-taqdir hai tadbir abhi tak


ek bar suni thi so mere dil mein hai maujud
ai jaan-e-tamanna teri taqrir abhi tak
sikhi thi jo aaghaz-e-mohabbat mein qalam ne
baqi hai wo rangini-e-tahrir abhi tak


is darja na betab ho ai shauq-e-shahadat
hai miyan mein us shokh ki shamshir abhi tak
kahne ko to main bhul gaya hun magar ai yar
hai khana-e-dil mein teri taswir abhi tak


bhuli nahin dil ko teri duzdida-nigahi
pahlu mein hai kuchh kuchh khalish-e-tir abhi tak
the haq pe wo be-shak ki na hote to na hota
duniya mein bapa matam-e-'shabbir' abhi tak


guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' sukhan-e-'mir' abhi tak
41301 viewsghazalEnglish