mahrumiyon ka KHauf nahin hai zara mujhe

By sirajuddin-sirajFebruary 6, 2022
mahrumiyon ka khauf nahin hai zara mujhe
pahchanti hai shahr ki aab-o-hawa mujhe
ek umr is safar mein guzarne ke bawajud
kyon ajnabi sa lagta hai har rasta mujhe


beja ana tabahi ka kirdar ban gai
khud-sakhta ghurur ne ruswa kiya mujhe
kotahiyon ka dakhl hai meri shikast mein
nakaamiyon ne raaz ye samjha diya mujhe


har chand samne thi mere manzil-e-yaqin
lekin ghalat qayas ne bhatka diya mujhe
ab sara shahr mera kharidar ban gaya
itna mere khulus ne sasta kiya mujhe


likh di amir-e-shahr ne dastur mein ye baat
mujrim ho koi aur milegi saza mujhe
hone lage the mujh se gurezan tamam log
ghabra ke todna hi pada aaina mujhe


yun to 'siraj' us ki mohabbat mein hai fareb
lekin usi nigah ne achchha kiya mujhe
15902 viewsghazalEnglish