mahz ye wahm hai ya hai mera apna saya

By azeem-ul-vaqaar-farhaanSeptember 22, 2023
mahz ye wahm hai ya hai mera apna saya
kaun ye chand ki nagri se utar kar aaya
ajnabiyyat ke bhi aadab hua karte hain
ajnabi tha to mujhe dekh ke kyon ghabraya


main musafir tha mera haq tha har ek raste par
ye alag baat ki raston ne mujhe bhatkaya
jab andhera tha to hum donon mein tafriq na thi
chand ubhra to juda ho gaya mera saya


ye jo do patte hain kab in mein se ek gir jae
main ne is daur mein har ek ko tanha paya
waqt ek aahani diwar bhi ban sakta hai
kitne lamhon ko tatola to ye nukta paya


dur se kitne chamakte hue moti dekhe
jis ko nazdik se dekha use patthar paya
ruh ka rag to har shakhs ne chheda 'farhan'
jism mein kya tha ki har ek ne use thukraya


76877 viewsghazalEnglish