mai bhi hai saghar bhi hai saqi bhi paimana bhi hai

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
mai bhi hai saghar bhi hai saqi bhi paimana bhi hai
dekhna ye hai ki hum mein zauq-e-rindana bhi hai
raqs-e-parwana bhi dekh ai chashm-e-ibrat ye bhi dekh
shama ki aaghosh mein kuchh khak-e-parwana bhi hai


hum ne mana hai sukun daman-e-sahil mein magar
fitrat-e-ahl-e-junun tufan se takrana bhi hai
ai talabgar-e-masarrat ye bhi socha hai kabhi
ek masarrat apne dil ko gham se bahlana bhi hai


jis ne jo chaha use samjha kiya ai ham-nashin
zindagani ek haqiqat bhi hai afsana bhi hai
ahl-e-dil ke waste hai bahr-e-aish-o-imbisat
go ba-zahir bazm-e-hasti ek gham-khana bhi hai


do ghadi ai gardish-e-ayyam bas ruk ja yahin
saqi-e-raana bhi hai gardish mein paimana bhi hai
jalwa-ara zarre zarre mein hai nur-e-barq-e-tur
lekin ai 'sabir' kahin zauq-e-kalimana bhi hai


34213 viewsghazalEnglish