mai-kada hai KHumar hai thoDa

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
mai-kada hai khumar hai thoda
zist ka karobar hai thoda
marg ki khush-gumaniyan thodi
zindagani ka bhaar hai thoda


mere aazar dhund lae koi
ab bhi mujh ko qarar hai thoda
wo bhi tere sipurd karta hun
khud pe jo ikhtiyar hai thoda


mausam-e-gul ka ek mujh pe junun
us pe rang-e-bahaar hai thoda
maut le kar chali hai ab mujh ko
jo tera hai dayar hai thoda


tis dil ki 'khayal' hai thodi
dard bhi paedar hai thoda
50812 viewsghazalEnglish