mai-kada tha chandni thi main na tha ek mujassam be-khudi thi main na tha ishq jab dam todta tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tur par chheda tha jis ne aap ko wo meri diwangi thi main na tha wo hasin baitha tha jab mere qarib lazzat-e-ham-saegi thi main na tha mai-kade ke mod par rukti hui muddaton ki tishnagi thi main na tha thi haqiqat kuchh meri to is qadar us hasin ki dil-lagi thi main na tha main aur us ghuncha-dahan ki aarzu aarzu ki sadgi thi main na tha jis ne mah-paron ke dil pighla diye wo to meri shaeri thi main na tha gesuon ke sae mein aaram-kash sar-barahna zindagi thi main na tha dair o kaba mein 'adam' hairat-farosh do-jahan ki bad-zani thi main na tha