mai-kasho jam utha lo ki ghataen aain ishrabu kahti hui sard hawaen aain ishq o ulfat ki saza mil gai aakhir mujh ko mere aage meri masum khataen aain ab tawajjoh to mere haal pe ho jati hai shukr karta hun ki is but ko jafaen aain khanda-zan dagh-e-maasi pe hui jati hai lo meri sharm-e-gunah ko bhi adaen aain wahi marne ki tamanna wahi jine ki hawas na jafaen tumhein aain na wafaen aain phir wo aamada hue mujh pe barasne ke liye phir mere sar pe musibat ki ghataen aain is qadar jaur-e-hasinan se raha khauf-zada huren aain to main samjha ki balaen aain koh-e-gham tha mera inam-e-mohabbat shayad chaar jaanib se uthaalo ki sadaen aain dubne wali hai kya kashti-e-ummid ai 'josh' mauj tadpi lab-e-sahil pe duaen aain