mai-KHana-e-hasti mein aksar hum apna Thikana bhul gae

mai-khana-e-hasti mein aksar hum apna thikana bhul gae
ya hosh mein jaana bhul gae ya hosh mein aana bhul gae

asbab to ban hi jate hain taqdir ki zid ko kya kahiye
ek jam to pahuncha tha hum tak hum jam uthana bhul gae

aae the bikhere zulfon ko ek roz hamare marqad par
do ashk to tapke aankhon se do phul chadhana bhul gae

chaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran le lije
taqrib to achchhi thi lekin do aankh milana bhul gae

malum nahin aaine mein chupke se hansa tha kaun 'adam'
hum jam uthana bhul gae wo saz bajaana bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close