mai-khane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain hum bhi aankhon ke paimane bhar bhar kar chhalkate hain main jin ko apna kahta hun kab wo mere kaam aate hain ye sara sansar hai sapna sab jhute rishte-nate hain tanhai ke bojhal lamhe hum is tarah bitate hain dil hum ko deta hai tasalli hum dil ko samjhate hain jiwan ki gutthi ka sulajhna kaam hai ek na-mumkin sa girhen padti hi jati hain hum jitna suljhate hain un ki qismat mein jalna hai kaun un se kahta hai jalen parwane dipak par aa kar apne-ap jal jate hain jiwan bita lekin ab tak main na samajh paya ye bhed bite dinon ki yaad aate hi aansu kyun bhar aate hain wo jab apna sar dhakte hain khul jate hain un ke pair jo apni chadar se ziyaada pair apne phailate hain hota hai mahsus ye 'ajiz' shayad us ne dastak di tez hawa ke jhonke jab darwaze se takraate hain