mai-pash nigahon se masti si chura laya

By nayyar-qureshi-gangohiSeptember 28, 2023
mai-pash nigahon se masti si chura laya
ba-hosh raha lekin madhosh nazar aaya
aadab-e-wafadari qaem to rahi apni
har zulm-o-jafa sah kar honton pe kahan laya


khuddar tabiat thi kaise ye machal jati
kamzor sahaaron ko har mod pe thukraya
aankhon se gire aansu tauhin-e-mohabbat hai
dil tod ke duniya ne kya khub ye samjhaya


hum kis ko kahen apna hum ghair kise samjhen
gham-khwar kahan koi duniya mein nazar aaya
hamraaz banaya tha mil jae sukun shayad
kuchh aur badhi uljhan kuchh aur main pachhtaya


nakaam-e-mohabbat ko har baat garan guzri
itna wo hue barham jitna unhen samjhaya
aaghosh-e-bahaaran mein phir umr kate apni
in reshmi zulfon ka mil jae agar saya


fankar ki nazron mein fan aur nikharta hai
fankar kahin 'nayyar' tanqid se ghabraya
24290 viewsghazalEnglish