mail us but ka jidhar tir-e-nazar hota hai

By bedil-azimabadiSeptember 3, 2022
mail us but ka jidhar tir-e-nazar hota hai
surat-e-qibla-numa dil bhi udhar hota hai
dard sine mein kahan aur kidhar hota hai
ye to hum kah nahin sakte hain magar hota hai


mutmain aap rahen khauf ki kuchh baat nahin
kahin aashiq ke bhi nalon mein asar hota hai
dil hua jata hai jaulan-gah-e-yas-o-hirman
dekh kis tarah se viran tera ghar hota hai


meri tadbir pe hans deti hai taqdir meri
nala jis waqt ki juya-e-asar hota hai
tujh ko dar kya hai mera qissa-e-gham sun to sahi
kahin aashiq ke bayan mein bhi asar hota hai


jaguzin hota hai ek dil mein koi parda-nashin
yani ab rashk-e-do-sad kaba ye ghar hota hai
rahm kyon aae unhen sun ke hamara nama
kab siyah-bakhton ke rone mein asar hota hai


waizo kaba ki tarif se sabit ye hua
ki sanam-khana hi allah ka ghar hota hai
barg-ha-e-gul-e-tar kaise bikhar jate hain
girya-e-bulbul-e-nalan mein asar hota hai


zahid-e-gosha-nashin kab use pahchan saka
wahi aarif hai jise zauq-e-nazar hota hai
shab ko sab logon se poshida janab-e-'bedil'
aap ka jaana ye har roz kidhar hota hai


36708 viewsghazalEnglish