main aag hun pani hun na miTTi na hawa hun

By farooq-noorFebruary 6, 2024
main aag hun pani hun na mitti na hawa hun
haalanki inhin chaar 'anasir se bana hun
rishton ki haqiqat ke bharam tut rahe hain
ek shakh-e-burida ki taraf dekh raha hun


majbur hun main apne usulon ki bina par
duniya ye samajhti hai ki paband-e-ana hun
mahfuz mujhe kar len zamane ki nigahen
main apne tashakhkhus mein akela hi bacha hun


wo shan hai meri ki malaik ka hun masjud
kahne ko khanakti hui mitti se bana hun
ghar mein to meri ek nahin chalti hai lekin
bahar yahi mashhur hai main ghar ka bada hun


main 'nur' ta'aruf ke liye kuchh nahin rakhta
ab kaise bataunga tumhein kaun hun kya hun
36663 viewsghazalEnglish