main aaina dikhaun is se pahle bol paDte hain
By abdul-hameed-basharApril 18, 2023
main aaina dikhaun is se pahle bol padte hain
khud apni hi safai mein ye chehre bol padte hain
khuda jaane ye kaisi maslahat ki qaid hai yaro
ki jhuton ki himayat mein bhi sachche bol padte hain
chhupa leta hun manzil se main sab dushwariyan lekin
safar ka haal in pairon ke chhaale bol padte hain
unhen malum hai anjam apni lab-kushai ka
magar fitrat se hain majbur shishe bol padte hain
ta'alluq kaun rakhta hai kisi nakaam se lekin
mile jo kaamyabi sare rishte bol padte hain
meri khubi pe rahte hain yahan ahl-e-zaban khamosh
mere aibon pe ho charcha to gunge bol padte hain

16832 viewsghazal • English