main agar dil jala nahin hota

By jagjit-kafirDecember 26, 2020
main agar dil jala nahin hota
sher koi kaha nahin hota
azmat-e-ishq hai ki jhukta hun
koi paikar khuda nahin hota


bans ke shahar mein base logo
har shajar khokhla nahin hota
bas wahi raat din ki gardish hai
aur kuchh bhi naya nahin hota


ras aane lagi hai furqat bhi
in dinon gham-zada nahin hota
apni wahshat se khauf khata hun
zabt har martaba nahin hota


ek sagar chhupa hai aankho mein
sirf aansu chhupa nahin hota
masala zindagi ka hai 'kafir'
maut mein kuchh bura nahin hota


45113 viewsghazalEnglish