main apne ijz-e-zat ka izhaar ho gaya gum-karda-rah-e-manzil-e-dushwar ho gaya kal tak tha ek phul mahakta hua magar aisi chalin hawaen ki main khar ho gaya be-sud ho gai hain sila-rahmiyan tamam khud apne haq mein aaj main talwar ho gaya chehra chhupae phirta hun khud apne aap se main jo teri nazar mein gunahgar ho gaya ab aur de fareb na ai gardish-e-jahan khud ko sanbhaal nind se bedar ho gaya mahsus ho rahi hai tumhaari kami 'ziya' tum se mile zamana mere yar ho gaya