main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun ki ye bhi kah nahin sakta main kaun hun kya hun unhen khushi hai isi baat se ki zinda hun main un ki daen hatheli ki ek rekha hun main pi gaya hun kai aansuon ke sail-e-rawan main apne dil ko samundar banae baitha hun wo mere dost jo ek ek kar ke dur hue main un ko aaj bhi apne qarib pata hun muhit karne ki koshish fuzul hai mujh ko nadi ka chhor nahin hun main bahta dariya hun mujhi pe phenke hai patthar jo koi aata hai ki jaise main teri khidki ka koi shisha hun