main badan ke abad-abaad ka bashinda hun

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
main badan ke abad-abaad ka bashinda hun
kal jo tha aaj bhi hun aur wahi aainda hun
barish-e-maut se khil uthti hai mitti meri
isi mitti ke karishme ke sabab zinda hun


'ishq ki aag ne ghar phunk rakha hai mera
aur isi khak lagi aag mein tabinda hun
jism-dar-jism jo dariya-e-tasalsul hai rawan
usi dariya-e-tasalsul ka numainda hun


maut ke hath pe bai'at hai zara si ye hayat
apni bai'at se na khaif hun na sharminda hun
kaenat ek bade saz ka be-ant aahang
main bhi chhota sa is aahang ka sazinda hun


ek ek bujhti hui aankh ko raushan karna
'farhat-ehsas' main ek khwab ka karinda hun
84828 viewsghazalEnglish