main bahen khol ke pura shajar nahin banta

By haris-bilalFebruary 6, 2024
main bahen khol ke pura shajar nahin banta
sahaara banta hun par is qadar nahin banta
dawam pati hain sinon se lag ke taswiren
ba-zat-e-khud koi rasta safar nahin banta


tera kamal ki mujh ko gale laga liya hai
wagarna khasta-diwaron se ghar nahin banta
dayar-e-ghair mein ajnas bantne walo
jadon se tut ke pauda shajar nahin banta


nazar ke faiz ka inkar to nahin lekin
guhar jo hota nahin hai guhar nahin banta
har ek chiz ka ne'mul-badal mila 'haaris'
magar wo 'aks jo aaine par nahin banta


36522 viewsghazalEnglish