main bata bata ke bhi thak gaya main bhala nahin

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
main bata bata ke bhi thak gaya main bhala nahin
wo jo khauf tha teri aankh mein wo gaya nahin
teri qurbaton ka nashat apni jagah magar
wo jo zakhm hijr ki den tha wo bhara nahin


kai hadse mere jism-o-jaan pe guzar gae
mujhe jaane kis ki thi bad-du'a main mara nahin
ye baja ki rizq bahut mila hamein qaid mein
jo yaqin apne paron pe tha wo raha nahin


mera ganw unchi 'imaraton se to bhar gaya
jo sukun kachche gharon mein tha wo mila nahin
tere kaam aaenge sham-e-‘umr mein jaan-e-man
meri baat sun ye khutut mere jala nahin


ye larazti aankh mein sharm ki jo fasil hai
yahi aakhiri mera aasra ye gira nahin
tera sath gar main na de saka to bura hua
main bura nahin hun bura nahin hun bura nahin


48867 viewsghazalEnglish