main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab

By urooj-qadriMay 31, 2021
main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab
dhimi dhimi aanch kahiye ya musalsal iltihab
raat wo aae the chehre se naqab ulte hue
main to hairan tha nikal aaya kidhar se aaftab


dil pe un ke ru-e-raushan ka pada hai jab se aks
dil nahin hai balki sine mein hai raushan mahtab
un ke diwanon ka istiqbaal hai dar-o-rasan
khinch gaya jo dar par un ke liye wo kaamyab


kya meri hamd-o-sana aur kya mera shukr-o-sipas
un ke ehsan be-shumar aur un ki neamat be-hisab
raat ka pichhla pahar tha aur aansu ki jhadi
mera dil tha shayad un ki bargah mein baryab


ishq ki duniya mein aise hadson se kya mafar
aaya qasid ka janaza mere name ka jawab
ye mahal meri tamannaon ka ai ‘ahmad-uruj'
jaise bachchon ka gharaunda jaise diwane ka khwab


81872 viewsghazalEnglish