main bhi kitna sada hun tujh ko apna kahta hun khushbu jaisa mahka hun shayad tera lahja hun armanon ka dariya hun main sadiyon se pyasa hun tu gulshan tabiron ka main khwabon ka sahra hun mujh ko sadiyan mat likhna main to guzra lamha hun main aalam tahriron ka sab ke chehre padhta hun mujh ko kaise pujoge main kab gunga bahra hun