main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne

main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne
meri sada ke phul bikhar mere samne

aakhir wo aarzu mere sar par sawar thi
lae the jis ko khak-ba-sar mere samne

kahte nahin hain us ka sukhan mere aas pas
dete nahin hain us ki khabar mere samne

aage badhun to zard ghata mere ru-ba-ru
pichhe mudun to gard-e-safar mere samne

main khud kisi ke khun ki aandhi hun in dinon
udti hui hawa se na dar mere samne

aankhon mein rakh dal ke nikla hun sair ko
shakhon pe nachte hain sharar mere samne

tari hai ek sukut 'zafar' khak-o-khisht par
jari hai baadalon ka safar mere samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close