main bikhar jaun sameten mujhe us ki aankhen apni palkon pe saja len mujhe us ki aankhen ruth jaun to ishaare se mana len mujh ko aur kho jaun to dhunden mujhe us ki aankhen ghar ki dahliz se lag kar mera rasta dekhen der se aaun to bolen mujhe us ki aankhen raat-bhar mere ta'aqub mein phiren galiyon mein subh ho jae to roen mujhe us ki aankhen ghar mein mil jaen to chhup jaen meri aankhon se rah mein paen to chheden mujhe us ki aankhen main jo chhup jaun kabhi raat ki tariki mein apni palkon se tatolen mujhe us ki aankhen khatm ho jae ye honton ke jaziron ka safar pyas bujh jae dubo den mujhe us ki aankhen ab yahan koi nahin rahta magar phir bhi 'shakil' jaise khidki se pukaren mujhe us ki aankhen