main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khada raha hun charagh tha koi jis ke ham-rah raat-bhar bhigta raha hun ye ab khula hai ki un mein mere nasib ki duriyan chhupi thin main us ke hathon ki jin lakiron ko muddaton chumta raha hun main sun chuka hun hawaon aur baadalon mein jo mashware hue hain jo barishen ab ke hone wali hain un ke qisse suna raha hun us ek viran ped par ab kai parindon ke ghonsle hain jo pichhle mausam mein likh gaya tha wo nam main dhundta raha hun safar ki lazzat se badh ke manzil ka qurb to mo'tabar nahin hai wo mil gaya aur main abhi tak gali gali khak uda raha hun