main chhu sakun tujhe mera khayal-e-kham hai kya tera badan koi shamshir-e-be-niyam hai kya meri jagah koi aaina rakh liya hota na jaane tere tamashe mein mera kaam hai kya asir-e-khak mujhe kar ke tu nihaal sahi nigah dal ke to dekh zer-e-dam hai kya ye dubti hui kya shai hai teri aankhon mein tere labon pe jo raushan hai us ka nam hai kya mujhe bata main teri khak ab kahan rakh dun ki 'zeb' arz-o-sama mein tera maqam hai kya