main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun bolun to sar se pa tak hasrat ki dastan hun masrur ho tu mujh se main tujh se shadman hun tu mera mehman ho main tera mezban hun kahti hai un ki masti hosh aae to main puchhun ai be-khudi bata de is waqt main kahan hun irshad par nazar hai khamosh hun ki goya chaho to be-zaban hun chaho to ba-zaban hun jaan ghul chuki hai gham mein ek tan hai wo bhi mohmal mani nahin hain bilkul mujh mein agar bayan hun main hun junun ke hathon makhluq ka tamasha na-mehrban hun khud par duniya pe mehrban hun allah-re us ki chaukhat hai bosa-gah-e-alam kahta hai sang-e-aswad main sang-e-astan hun kahta hai mera nala lab tak main aate aate sau ja thama hun rah mein is darja na-tawan hun nafrat ho jis ko mujh se milne ka us se hasil nazron mein kyun subuk hun khatir pe kyun giran hun muddat mein tum mile ho kyun zikr-e-ghair aae main apne sae se bhi khalwat mein bad-guman hun chup rah gaya payami lekin ye khair guzri khat ne kaha ki suniye 'parwin' ki main zaban hun