main dua mangun to dil mujh se khafa ho jaega sar jhuka to sar ko sajdon ka nasha ho jaega khwahishon ke dubte suraj ne batlaya na tha mera saya mere qad se bhi bada ho jaega ya to mujh se chhin lo ye but-tarashi ka hunar warna main jo but tarashun to khuda ho jaega guftugu mein zabt lazim hai zara si chuk par lab pe aa ke harf harf-e-muddaa ho jaega ye mujhe malum kab tha khwahishon ki bhid mein mera ek ek sans jine ki saza ho jaega mere dard-o-karb ki parchhaiyan chehre pe hain main ye aansu rok bhi lunga to kya ho jaega baat to jurm-o-saza ki hai magar mahshar ke din kuchh na kuchh us se hamara faisla ho jaega