main Dubne laga tha ki be-saKHta khula

main dubne laga tha ki be-sakhta khula
gumrahiyon ke dasht mein mujh par khuda khula

aahat hi koi chaunki na bab-e-sada khula
ye shahr-e-be-panah bhi sahra-numa khula

wo paikar-e-tilism bahut surkh-ru hua
us par lahu ke lams ka jab zaiqa khula

aankhen lagin to qurb ki khushbu jawan hui
jab raat thak ke soi to band-e-qaba khula

phir mere ird-gird hai tufan-e-sad-zawal
phir mujh mein intishaar ka daftar naya khula

do din mein ehtiyat ka nashsha utar gaya
hum jitna chahte the wo us se siwa khula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close