main ek musafir-e-tanha mera safar tanha

By guhar-khairabadiOctober 30, 2020
main ek musafir-e-tanha mera safar tanha
dayar-e-ghair mein phirta hun dar-ba-dar tanha
mere khilaf tamam aandhiyan zamane ki
main ek charagh sadaqat ki rah par tanha


hai ek bhid magar koi bhi rafiq nahin
main sochta hun ki main bhi hun kis qadar tanha
na mete mit sakin tanhaiyan muqaddar ki
ki rah ke bagh mein bhi hai shajar shajar tanha


tere bhi sine mein apnon ka dard jagega
dayar-e-ghair mein koi to sham kar tanha
koi to badh ke ye kahta ki rah-rawan-e-watan
hai karwan-e-mohabbat ka rahbar tanha


chaman mein gunje sada bhi to kis tarah gunje
parinda shakh pe bola to hai magar tanha
bade muhib nazar aae haal-o-mustaqbil
jab apne mazi ko socha hai baith kar tanha


nigah pukhta hai jis ki wahi kharidega
hai sang-rezon ke bazar mein 'guhar' tanha
88724 viewsghazalEnglish