main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya sath mere raushni ban kar safar us ne kiya is tarah khinchi hai mere gird diwar-e-khabar sare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya mujh mein baste sare sannaton ki lai us se bani pattharon ke darmiyan thi naghma-gar us ne kiya be-sar-o-saman pe dildari ki chadar dal di be-dar-o-diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya paniyon mein ye bhi pani ek din tahlil tha qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya ek mamuli si achchhai tarashi hai bahut aur fikr-e-kham se sarf-e-nazar us ne kiya phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya taq mein rakkhe diye ko pyar se raushan kiya us diye ko phir charagh-e-rahguzar us ne kiya