main gham ki kahani sunata rahunga

By rana-khalid-mahmood-qaiserFebruary 28, 2024
main gham ki kahani sunata rahunga
tumhein haal dil ka batata rahunga
jahan dekh kar mujh ko tum hans padoge
wahin par main aansu bahata rahunga


nigahen milaen ki wo dur jaen
shu'ur-e-tamanna jagata rahunga
jafaon ki pur-pech rahon mein har dam
wafa ka khazana lutata rahunga


nae raston aur nae zawiyon mein
nuqush-e-kuhan main mitata rahunga
kahan tak chhupaunga dil us se apna
kahan tak mohabbat chhupata rahunga


shab-e-gham falak par mohabbat ke 'qaisar'
abhi aur main jagmagata rahunga
88550 viewsghazalEnglish