main hun raat ka ek baja hai khali rasta bol raha hai aaj to yun khamosh hai duniya jaise kuchh hone wala hai kaisi andheri raat hai dekho apne aap se dar lagta hai aaj to shahr ki rawish rawish par patton ka mela sa laga hai aao ghas pe sabha jamaen mai-khana to band pada hai phul to sare jhad gae lekin teri yaad ka zakhm hara hai tu ne jitna pyar kiya tha dukh bhi mujhe utna hi diya hai ye bhi hai ek tarah ki mohabbat main tujh se tu mujh se juda hai ye teri manzil wo mera rasta tera mera sath hi kya hai main ne to ek baat kahi thi kya tu sach-much ruth gaya hai aisa gahak kaun hai jis ne sukh de kar dukh mol liya hai tera rasta takte takte khet gagan ka sukh chala hai khidki khol ke dekh to bahar der se koi shakhs khada hai sari basti so gai 'nasir' tu ab tak kyun jag raha hai