main insan-e-naua hun main isa-nafas hun
By atif-khanOctober 27, 2020
main insan-e-naua hun main isa-nafas hun
zamin se tumhaari main phir kal uthunga
main aadam hun be-jaan sa patthar nahin hun
bhanwar sa hun sahra mein pal pal uthunga
hun dariya ka pani ki jab bhi marunga
samundar ki ban ke main halchal uthunga
kabhi ki jo suraj ne wada-khilafi
ye hai mera wada ke main jal uthunga
koi ishq jaise purana ho 'atif'
main mar ke bhi dil mein musalsal uthunga

49959 viewsghazal • English